Poem, Birthday 12:00hours- Without her wishes for me, feelings

 Birthday - How it feels without her...
Broken heart poem


Ye Janamdin ni akelepan ka ghera hain,
Fitrat hain logo ki bhul jana,
Ye unka bhul jana nai,
Ye hume akele ho jane ka unka ek ishara hain.


 

Kal toh pran rahe ya na rahe,
Jivan ke safar me akele nikal jana hain,
Bhatakna bhi hain,
Bas ab milna kisi or se nai,
Ye hume akele ho jane ka unka ek ishara hain.
o

Doobi thi subha se leke sham,

Aj Janamdin ka tohfa unhone dilaya hain,
Fikar na unhe hamari,
Na bole wo humse kuch,
Ye hume akele ho jane ka unka ek ishara hain.


Musibat bhi kya musibat?
Rukawat bhi kya rukawat?
Bharosa hi tha ki har musibat or rukawate
Unke sath ubhar jana hain,
Kaha bhi na gaya unse hume hamare janamdin pe kuch,
Ye hume akele ho jane ka unka ek ishara hain.



Aaj ke din ka muddato se Intzar tha.
Ki muddato baad unse bat hogi dobara,
Hogi dobara baat parwana is intzar me tha,
Bhule hai wo humko is kadar be-kadar hokar,
Ye hume akele ho jane ka unka ek ishara hain.


Kho jane du apne ko unki baat shuru karne ke intzar me,
Ya baithi akela sochte huey unko, unke khayal me,
Ki be-fikar toh wo hain hum nahi,
Pran toh rahega raho me fikar me unki,
Bichad gaey hai ab unse,
Lagta hai fir se ki,
Nasib me unka chour jane ka, tanha kar jane jane mumkin ishara, usi ka sahara hain.

-Rakashas








Rakashas

I started my journey 28 years back, when I visited the world, I was unaware about the beauty of nature and hidden secrets of life, than I meet my other half, magic happened when we quarrelled one day, that day I discovered writing as one of my skills. I am all time engineer, a youtuber and a lot more.

Post a Comment

Please motivate us. If you like it, do leave a comment below.

Previous Post Next Post