Poem, The Moment We Left - Tujhe chour Ke Chale Hain

The Moment We Left - Tujhe Chour Ke 

 Tujhe chour ke chale hai,

Sauda toad ke chale hai,

Na yaad dila ki tere mirza thai hum,

Tu bhi na rahi heer meri sahiba,

Disha bhuli hai mene ab, 

Ki Fizza gum hui mere me ab,

ki Asman hai bhi ab kala,

Kamli hua karta tha dariya tere me,

Ab Jaag soya hain sirf mere me.

Ki ab hum na mehboob tere us tarah,

Tu bhi kaha meri mehboob us tarah.


Jugni Jogan bhi bhuli Jog,

Ki Kiss Jahan itar ja raha jo behta tha hawa me tera,

Na khabr zariye ko bhi,

Bhula baitha ab husn ka dariya bhi,

Jeene ki raah chori,

Dagar bhi ab na thami humne ab, 

Jeen ankhon ko sikayat thi tujhe dekhe bina,

Wo bhi khamosh hai jese khoya ho 1 Jahan,

Ki ab hum na mehboob tere us tarah,

Tu bhi kaha meri mehboob us tarah.


Ki baat hoti thi tera meet ban ne ki,

Ab bas bandhan todne ki ass hain, 

Bhule reet hum bhi tere se meet,

Akash jo tanha pada hain maan me ab,

Tera Chehra jo dikhta tha har kisi me,

Wo bhi Bhula baitha hai ab bhul ke tujhe,

Ki ab hum na tere mehboob us tarah,

Tu bhi kaha meri mehboob us tarah.



Payal ki awaz thi teri jo amar karti thi hamara sangeet,

Ab sangeet kahi khoya jese jaag ne china mujhse,

Hara tha jo dil tere me, 

Pyara na lagta tu us dil ko tu ab,

Raang bhi hogaye ab fikke,

Na karte wo baat ab berang duniya me khoye,

Khoye baithe thai jo tere me kal,

Haan ab hum ni mehboob tere us tarah,

Tu bhi kaha meri mehboob us tarah.

-Rakashas

Rakashas

I started my journey 28 years back, when I visited the world, I was unaware about the beauty of nature and hidden secrets of life, than I meet my other half, magic happened when we quarrelled one day, that day I discovered writing as one of my skills. I am all time engineer, a youtuber and a lot more.

1 Comments

Please motivate us. If you like it, do leave a comment below.

Previous Post Next Post